Shri Krishna or Balram ji ke darshan mathura_vaasiyon ko hona
Shukdev ji bolte hai ki parikshit bhagvaan shri krishna jab,balram ji or gvaal baalo ke sath raajmaarg ke raaste se mathura nagri me pravesh kiye the, tab us nagar ki sabhi naariyaan, bari utsukta se unhe dekhane ke liye jitni jaldi ho sake chhat par chadh gayi thi,kuchh jaalidaar- jharokho ke chhed se,koi -koi divaaro ki ot se,koi khirki par lage hua parde hataakar or kuchh nariyan darvaaje kivaaro se bahar nikalkar ghar ke chabutre se unhe dekhne lagi thi, saare kaam -kaaj chhorkar unhe dekhane ke liye is prakaar bhaagi,mano samundr ki taraf nadiyan bhaag rahi ho. Jaldi ke karan apne kapre or juwelri bhi ulte pahan li thi ,kisi -kisi ne bhul se kundal,kangan aadi jode se pahane jaane vaale aabhushano me se ak hi pahankar chali aayi thi,kai ramniyaan to bhojan kar rahi thi ,ve haath ka kor fekkar ,chal padi thi,koi -koi ubtan laga rahi thi,ve bina isnaan kiye doude chali thi,koi koi apne bache ko dudh pila rahi, use pura pilaaye bina hi shri krishna ji ka darshan karne ke liye bhaagi