संदेश

Shri Krishna ki Darji par kripa

Kuchh Kapde vahin chhorkar thora aage jaane par, unko ak darji dikhaai diya, vah in dono bhaiyo ki sundarta dekhkar mugdh ho gya tha, usne shri krishna,balram or gvaal baal ke sarir me dhile_ dhaale kapre dekhkar, un rang_ birange or sundar vastro ko un sabhi ke sarir par aise dhang se sajaa diya ki ve sab thik thik  fab gye the. Shri Krishna ne prasann hokar us darji ko atulya dhan_ sampati,aayu,bal,kirti,kaanti,dur tak dekhane, sunane ki indriy sambandhit power or marne ke baad apne dhaam golok me jaane ka vardaan bhi de diye the. Apna saarupy moksh pradaan kiye the.

Kans ke Dhobhi ka pichhala Ganam

Shri Ram ji ke shaashan kaal me, ak dhobhi rahata tha, jo apni patni se bol raha tha ki tu dusre ke ghar me rahakar aayi hai is karan me tujhe nahi apnaaunga, me maharaj ram ki tarah nahi hun, jo naari ke moh me, uske saare apraadh ko kshama kar de, maharani sita ravan ke yahaan rahkar aayi hein, is baatchit ko prabhu ke guptchar sun liye the, jaakar raja ram ko bataa diye the, ye guptchar praja ki mano vriti or sukh_ dukh jaanane ke liye bhesh badalkar ghumte  the. Dhobhi duvara apni patni ko kahi hui baat jaankar, shri ram ne janak nandani ka tyaag kar diye the. Yahi Dhobhi Shri Krishna avatar me ganam lekar, fir se kapre dhone vaala bana tha. Isne Devi Sita ke liye jo galat baat bola tha, jiske karan ak dosh utpann ho gya tha, Is Dosh (paap)ki shaanti ke liye, isko shri krishna avatar me maarkar uddhaar kiye the.

Shri Krishna duvara Dhobhi ka uddhaar

Ak Dhobhi jo kapre dhone ke sath_ sath rangne ka bhi kaam karta tha, bhagvan Shri Krishna ke nikat se hi jaa raha tha. Usko apne paas bulaakar, Prabhu bole ki hum logo ko pahane ke liye, humare naap ke kapde dedo, vaastav me hum iske adhikaari hein, isme sandeh nahi hai ki asaa karne par tumhara param kalyan hoga. Dhobhi Bhagvan Shri Krishna se bola ki tum log rahte ho sada janglo or pahaado me, kya vahaan par bhi aise hi vastr dhaaran karte the? tum sabhi bahut uddand ho gye ho isiliye badh_ badhkar baate kar rahe ho. Maharaj kans ke dhan ko lutna chaahate ho, are murkho bhaag jaao, chale jaao yahaan se, raja ke senik tumhare jeso ko pakad kar jail me daal dete hein, jo kuchh bhi tumhare paas saaman hota hai, sab chhin lete hein, kabhi_ kabhi marva bhi daalte hai, kuchh din jivit rahna chaahate ho to vaapas chale jaao. Vah murakh dhobhi kans ka sevak hone ke karan matvaala ho raha tha, bhagvaan ke duvara banaai vastuon ko, bhagvaan ko  hi nahin de raha tha, prabhu apne power se kapde

Shri Krishna or Balram ji ke darshan mathura_vaasiyon ko hona

चित्र
Shukdev ji bolte hai ki parikshit bhagvaan shri krishna jab,balram ji or gvaal baalo ke sath raajmaarg ke raaste se mathura nagri me pravesh kiye the, tab us nagar ki sabhi naariyaan, bari utsukta se unhe dekhane ke liye jitni jaldi ho sake chhat par chadh gayi thi,kuchh jaalidaar- jharokho ke chhed se,koi -koi divaaro ki ot se,koi khirki par lage hua parde hataakar or kuchh nariyan darvaaje kivaaro se bahar nikalkar ghar ke chabutre se unhe dekhne lagi thi, saare kaam -kaaj chhorkar unhe dekhane ke liye is prakaar bhaagi,mano samundr ki taraf nadiyan bhaag rahi ho. Jaldi ke karan apne kapre or juwelri bhi ulte pahan li thi ,kisi -kisi ne bhul se kundal,kangan aadi jode se pahane jaane vaale aabhushano me se ak hi pahankar chali aayi thi,kai ramniyaan to bhojan kar rahi thi ,ve haath ka kor fekkar ,chal padi thi,koi -koi ubtan laga rahi thi,ve bina isnaan kiye doude chali thi,koi koi apne bache ko dudh pila rahi, use pura pilaaye bina hi shri krishna ji ka darshan karne ke liye bhaagi

Shri krishna and Akrur j

Akrur ji jab isnaan karke bahar nikle, tab bhagvaan Shri Krishna unse puchhe ki chacha ji aapne jal,dharti ya aakaash me koi adbhut vastu dekhe he kya, aapki chehare se to asaa hi lagta hai? Akrur ji bolte he Prabhu sabkuchh aap me he_ mene aapko dekh liya, tab kon si asi adhbhut vastu hogi, jo mene n dekhi hogi, Itna bolkar akrur ji rath chalaana suru karte hein. Mathura Me pahale se hi nand ji or anya gopgn prabhu or balram ja ka intajaar kar rahe the, akrur ji se Prabhu bolte hai ki aap mathura pahuchkar apne ghar chale jaaiega, hum dono bhai pahale rath se utarkar, dusre din savere mathura ghumenge.   Akrur ji Shri Krishna se bolte hein ki appke bina me ghar nahi jaaunga, aap mere   araadhy dev hein, kripa karke aap mughe mat chhoriye, he bhakto ka mangal karne vaale_ bhaktvatsal, mere param hiteshi or sache_ suhrid bhagvan me aapka bhakt hun, aap mere suvaami he, aap balram ji,apne pita or anya gopgn ke sath aakar ke mere nivaas isthaan ko paavan kar dijiye. In charno me jhukne se

Akrur ji ko Bhagvan Shri Krishna ke Divya rup ka Darshan

चित्र
Akrur ji ko Shri Krishna ki bahut chinta ho rahi thi, kyunki kans ne prabhu ko maarne ki yojna bana rakha tha, yadhpi ve jaante the ki Shri Krishna bhagvan he lekin unka prabhu ke sath chacha batija ka rista tha, ve is sambandh ke karan, utpan hua prabhu ke prati anuraag le karan, unka bhagvan hone ki baat bhul jaate the. Unke isi chinta ko mitane ke liye hi Bhagvan Shri Krishna unko Divya rup ka darshan karvaaye the. Prabhu asi lilayein karte hein ki kaliyugi manusya ka bhi man isme lage. Bhagvan Shri Krishna ka charitra or unki mun lubhavani lilayein madhurta ka mahasagar he jisko sunane,sunaane or padhane par bahut khushi milti he. Jab pratyaksh prabhu apni lilaon duvara sabko aanandit karne ke liye avatar lete hai tab unka anant sondary,madhurya,vibhutiyon or lilaon par sabki budhi mohit or mun prasann hua bina nahi rah pata hai. Shri Shukdev ji bolte hein ki idhar bhagvan shri krishna,balram or akrur ji ke sath vayu ke saman veg vaale rath par, savaar hokar, paapnaasini yamuna ji

Shri Krishna ka Shri Radha jise mathura jaane se pahale milna

Jese hi Radha ji ko pata chala, unke praanpyare mathura ja rahe hai vese hi vo behosh ho gayi thi. Shri Krishna, Radha jise milne, unke ghar gye the. Prabhu ke chhune se radha ji ko hos aa gya tha. Shri Krishna unse puchhate he ki tum itni udaas kyun ho? is prkar shok n karo, athva meri mathura jaane ki baat jaankar, tumhe mujhse dur hone ka dar sata raha he? Mene jis kaam ko karne ke liye prithvi par avatar liya he, us kaam ko karke, me vaapas aa jaaunga, tumhari kaamna purn karunga. Praannath tum avasya prithvi ka bhaar utaarne ke liye mathura jaao, parantu meri nischit pratigya ko sun lo, tumhare yahaan se chale jaane par, me sarir ko kadapi dharan nahi karungi, agar tum meri pratigya ya shapath par dhyan nahi dete ho to dusri baar, punha apne jaane ki baat bolkar dekh lo, me turant katha shes ho jaaungi. Mere praan adharo ki raah se nikalne ko atyant vyaakul he, ye kapur ki dhuli kano ki bhaanti shighr ur jaayenge. Shri Krishna bolte he ki priye raadhike me apni vedsvrupaa apni vaa