Varun-Lok se Nand ji ko Chhuraane ki lila
Govardhan Utsav Pratipada ke din sampann hua tha, iske baad saat dino tak Indr Dev duvaara musaldhaar varsa kiye the Sukl paksh ki navmi bit jaane par, Shri Krishna ke paas Indr Dev maafi maangne aaye the , iske dusre din ekadashi thi. Nand ji ekadasi ka upvaas kiye the or agle din daadasi ko bahut savere yamuna nadi me, surj ugne se pahale nahaane chale gye the, galti se ve aasuri samay me nahaane chale gye the, isiliye Varun Dev ke sevak prabhu ke pita ko bandi bana liye the. Jab Shri Krishna ko pata chala ki Varun Dev ke daas mere pitaji ko bandi banaakar lekar gaye hein, tab Shri Krishna or Balram ji dono Bhai Varun lok gye the. Varun Dev pahale Govind ki Istuti karte hain fir apne nokar ki galti ke liye maafi maangte hein. Nandji ne vahaan par, lokpaal ke adbhut asvarya or dhan-sampati ko dekhe the sath hi sath unhone yah bhi dekha ki vahaan ke nivaasi, jhuk-jhukar, unke laadle ko pranaam kar rahe hein unhe bara aaschary hua, unhone vrindavan