Arishtaasur ka uddhaar
Shri Shukdev ji Parikshit ji se kahate hai ki jis samay Shri Krishna braj me pravesh kiye the or vahaan aanand utsav manaaya ja raha tha, usi samay ak rakshs bel ka rup dharan karke, aaya tha. Uska sarir bahut bahut vishal tha, vah apne pero ko itne jor se patak raha tha ki usase dharti kaap rahi thi. Vah bare jor se garaj raha tha or pero se dhul uchhaalta jaata tha, punchh khari kiye hua tha or singo se divaar or kheto ki mend ko tortaa jaata tha, bich- bich me mutataa or gobar bhi chhorta jaata tha. Aankhe faarkar, idhar udhar dekhakar dor raha tha, uske jor se hakarne se_ nisthur garjanaa ke dar se_ istriyon or gaayon ke tin chaar mahine ke garbh istravit ho jaate the or paanch chha mahine ke gir jaate the. Uska atyant vishal sarir baadal ko chhu raha tha, ise dekhkar sabke sab bhaybhit ho gye the, jaanvar dar ke karan apna isthaan chhorkar bhaag gye the, us samay sabhi brajvaasi shri krishna- shri krishna hume is bhay se bachaao_ pukaar rahe the, yah bolkar sabhi log prabhu ki sh