संदेश

Shri Krishna or Balram ji ka apni Mata Devki or Pita vasudev se milna

चित्र
Shri krishna or Balram ji karagaar me apne Mata pita se milne jaate he, sabse pahale hathkadi beri kholte he, fir per chhukar pranam karte he, apne putro ke duvara pranam karne par bhi, hridya se nahi lagaye the, chunki ve soch rahe the ki hum jagdisvar ko apna putr kese samajh sakte he? Shri Krishna inki mun ki baat jaan liye the ki mere mata pita ko mere asvarya or bhagvatbhaav ka gyaan ho gya he, asa hone par me inse putr prem ka sukh nahi prapt kar paaunga, isiliye inki budhi ko apni lila ke anukul karna hi hoga. Shri Krishna apni shakti se inki budhi ko apni lila me sahaayak bana lete he . Meri am-ma mere pitaji !aap humare liye sada tarpe he, humare bachpan,pougand or kishor avastha ka sukh nahi paa sake, durbhaagyvash hume aap dono se dur rahana pada, jiske karan hum dono Bhai aapka prem nahi pa sake. Mata- Pita hi apni santaano ko ganam dekar,paalan poshan karke use is laayak banaate he ki vah arth (dhan),dharam(acche kaam),kaam (vivaah karke sansaar ka kalyaan karne vaali sant

Kans ke bhaiyon ka pichhala Ganam

Kuber ji ki raajdhaani alkaapuri me devyaksh naam ka ak dhaarmik,dayaalu yaksh rahta tha, jiske aath putr the, jinke naam Devkut, Mahagiri,Gand,khand,Akhand,Prachand,Prithu or dand tha. Ak Din inke pita ne in sabhi ko, Shiv ji ki puja ke liye ful laane bheje the, inlogo ne shiv ji ki puja me chadhaane vaale fulon ko sungh liye  the, jiske karan mata parvati krodhit hokar agle ganam me dust ki sangati prapt karke, rakshs ho jaane ka abhishap di thi. Maafi maangane par, Balram ji ke sath larkar, unse mukti prapt karne ka vardan mila tha.

Kans ka pichhale Ganam

Duvaapar Yug me ganam lene se pahale kans rakshas yoni me ganma tha, jiska naam kaal nemi tha,pita ka naam virochan tha. Usko shastr kala or tantr vidya ki jaankari hone ke sath sath shaktishali bhi atyant tha, sabhi devta usase thar- thar dar se kaapte the . Jab devaasur yudh hua tha is dust ne bethe hi bethe bhagvan vishnu par trishul chalaya tha lekin narayan trishul ko pakar kar, usi se usko maar daale the, iske marne par sabhi devata bhaymukt hokar hari ke guno ka gaan karne lage the  . Bhagwan Vishnu bole ki yah duvaapar yug me fir se ganam lekar kahar barpaayega, yah sunkar devgn fir se bhaybhit ho haye the . Kaalnemi naam ka ak dusra daanav bhi hua hai jisne hanuman ji ko sanjivani laane me rukaavat daala tha. Sabhi Devtaaon ko darte hua dekhkar bhagvan Shri Hari bole ki us yug me, mei shri krishna avatar me use maarkar aap sabka dar dur kar dunga. Ugrasen ji ka vivaah pavanrekha ji ke sath hua tha, jo bahut sundar thi, chanchal, hansmukh suvabhaav tha. Dono pati-patni  apne ra

Shri Krishna duvara kans ka uddhaar

चित्र
Jab kans ke pradhaan pahalvaan maare gaye or bache hua sabke- sab bhaag gaye,tab kans ne gaaje- baaje band karvaake, bola ki are! vasudev ke in duscharitr ladko ko nagar se bahar kar do,gopo ka sara dhan chhin lo or durbudhi nand ko karaagaar me daal do, vasudev bhi bara kubudhi or dust he use jaldi se- jaldi maar daalo or ugrasen mere pita hone par bhi apne anuyaayiyon (followers) ke sath dusmano se mila hua he isiliye use bhi jivit nahi chhorna. Bhagvan Shri Krishna atyadhik krodhit hokar, furti se vegpurvak, uchhalkar, lila se hi uske unche munch par ja chadhe the. Jab kans dekha ki mere mrityusuvarup bhagwan shri krishna mere saamne aa gaye hai, tab vah achaanak khare hokar, ak hath me dhaal or dusre haath me talvaar le liya tha, chot karne ka avasar dhundhata hua, pentaraa badalne laga tha, aakash me urte hua baaj ke samaan kabhi baayi taraf jaata to kabhi daayi taraf jaata tha, bhagwan shri krishna ka prachand tej atyant dussha he, jese garud saap ko pakar lete hein, vese hi bhag

Kans ke pahalvaano ka pichhala Ganam

Amraavtipuri me utathya name ke muni rahate the, jo ak brahman the, unke paanch atyant sunder putr kusti karte the. Ak din utathya ko apne beto par atyadhik krodh aaya ki brahman ke dharam ko chhorkar kshatriya ke dharam ka palan kar rahe ho, pahalvaani kar rahe ho, tum paancho ke paancho ko mene tumlogo ko kitna samjhaya tha ki brahman ka dharm dhaarmik pustako ko padhna,puja paath karvana,tap karna, indriyon ko apne niyantaran me rakhna he, kusti karna nahi hai, fir bhi tumsabhi ne meri baat nahi maani he, atha agle ganam me bare hokar, pahalvaan banana or daanvon ki sangati se daanv ban jaana. Abhisaap milte hi paancho ke paancho apne pita ke per chhukar, maafi maangane lage the. Maafi maangne par bhagvan Shri Krishna or Balram ji se kusti me larkar, unke hathon se uddhaar hone ka vardaan mila tha.

Shri Krishna ji or Balram ji ke duvara Kans ke Pahalvaano ka uddhaar

चित्र
Kusti ke anurup baaje ki aavaaj band hote hi shri Krishna or chaanur aapas me kusti karne lage the. Hatho se haath baandhkar,pero ko adaakar ak dusre ko apni -apni taraf khichane lage the, panjo se panja,matha se matha,ghutne se ghutna, chhaati se chhaati bhiraakar ak dusre par chot karne lage the. Daav- pench karte- karte apne pratiduvandi ko idhar-udhar udhar ghumaate,dur dhakel dete,jor se jakar lete,chipak jaate or uthaakar patak dete the,kabhi chhutkar nikal bhaagte the,kabhi chhorkar, pichhe hat jaate the, is parkar ak dusre ko rokte,ak dusre par chot karte or haraane ki kosis kar rahe the. Kabhi koi niche gir jaata to dusra pero or ghutno se dabaakar,haatho se pakar kar, uppar ki taraf le jaakar, gale me lipat jaane par, dur dhakkaa de deta tha, kabhi-kabhi  jarurat parne par, hath per ikhathaa karke, gaath baandh diya jata tha. Mathura ki kuchh istriyaan dangal dekhane aayi thi, jab un sabne dekha ki chhote- chhote sukomal baalko ke sath bade- bade Pahalvaano ke sath kusti karv

Shri Krishna or Balram ji ka akhaade me pravesh

Shri Krishna or Balram ji kuvalayapida haathi ke bare- bare do daaton me_ ak shri krishna ke haath me, dusra balram ji ke hath  me, sastr ki tarah sushobhit ho raha tha. Dono bhaiyon ke sarir rakt or pasine ki bundo se shobha de raha tha, inke pichhe- pichhe gopbaalak chal rahe the. Sabne apne bhaavna ke anurup prabhu ko dekhe the. Pahalvaano ko vajr ke samaan kathor sarir vaale,saadhaaran logo ko nar- ratn,Gopo ko svajan,Naariyon ko murtimaan kaamdev,Mata- Pita ke samaan bade- budhon ko baalak,dust raajaaon ko dand dene vaale shaasak,kans ko apni mrityu,agyaaniyon ko saadharn manusya,aadhyaatmik gyaaniyon ko purn brahm parmaatma,Yogiyon ko yogesvar or param- tatv rup me,or bhakton ko apne istdev ke rup me dikhaai diye the. Sabne apne bhaav ke anusaar kramash_ roudra,bhayaanak,vaatsalya,haasy,adhbhut,vir or prem bhaav ka anubhav kiye the. Shri Krishna ke Gun,sondrya,maadhurya or nirbhayta ne sabko prabhu duvara pichheli ki hui lilaayein, yaad aane lagi thi, sabhi in dono bhaiyon ke gun